Yadi Aapka Pan Card nhi bana hai to aap apne Aadhar Card se Pan Card ke liye Apply kar skte hai Online . Pan Card jo ki Income Tax Department duara jaari ki jati hai . Pan Card ek bahut hi Important document hai. ham kisi bhi kaam ke liye jaye to hamse pan card ya to Voter Card/Aadhar Card manga jaata hai. khas kar Bank Account open karane jaate hai to Pan Card manga jaata hai.
Income Tax Department ki taraf se Aadhar Card se Pan Card banane ki Suvidha haal hi me kiya hai. Apko kisi aur documents ki jarurat nhi hai sirf aap apne aadhar card se Pan Card ke liye apply kar skte hai. Ab Koi document Income Tax Department me Jama karane ki Jarurat nhi hai.
chaliye dekhte hai step by setp ki kaise Aadhar card se Pan Card Apply kiya jaata hai. bahut hi Easy method hai aapko kisi professional knowledge ki jarurat nhi hai. Aap mere steps ko follow kare.
Pan Card Apply karne se pahle Jaruri Baate.
1. Aapke aadhar card me mobile no linked hona chahiye. aadhar se pan card apply krte time aapke mobile me OTP/PIN ayega jise apko form me fill krna hoga then aage ki process hogi .
2. Aadhar card me jo Photo hai. wohi Photo aapke Pan card me Print hoga.
3. jaise ki aapko pata hi hoga New Pan Card banane ke liye ek Charge lagta hai.
aapko lagbhag 120 rs online payment krni hogi. time to time ye charge change hota rahta hai .
Apply Pan Card through Aadhar Card & EKYC
diye gye sabhi steps ko sahi se padhe then apply kare. koi hi details galat na bahre.
Step1.-
pahle aap Pan Card apply ki Official Website pe jaye . diye gye link ko click kre.
https://www.onlineservices.nsdl.com/paam/endUserRegisterContact.html
- Application Type- New PAN-Indian citizen (form 49A)
- Categories- Individual
- Application Information- me apna Name, Email address, Date of Birth, Mobile number fill kre.
Sabhi details ko sahi sahi fill kare and Captcha code ko enter kare last me Submit kre.
Step2.-
Form ko Submit karte hi. aapke samne Token number ka page khulega jise aap apne Dairy me likh le. Continue with PAN Application Form. click kre aur aage ki process ko dekhe .
Step3.-
Continue krne pe alga page open hoga jisme “How do you want to submit your PAN application documents” me “Submit Digitally through e-KYC & e-sign (paperless)” ko select kare. niche kuch instruction diye huye hai use padh skte hai.
page ko niche karne par
Aadhar number(Only for Individual) diya hua hai waha par apna Aadhar no ko fill kre.
Full Name Of The Applicant -
isme diye gye otion ko bhare.
- Apna Name enter kare
- Name that you would like to printed on PAN CARD me apna full name enter kare, yah name aapke PAN card me print hoga
- Date of Birth enter kare
- Gender select kare
Have you ever been known by other name ? me “NO” select kare
Details of Parents (Applicable only for individual application)me aap Father or Mother kisi ka bhi name enter kar sakte hain.
ab Next button par click kre
Step3.-
ab aapko Source of Income ki details ko bharna hai
- agar aap job karte hai to aap jiss type ka job kare wo fill kare.
- Agar nhi kare to No Income pe click kare
Address for communication & Residence Address & Office Address
aapko kuch bhi fill nhi krna . aapke aadhar card se automatic le liya jayega
- Telephone Number & Email Id Details fill karna hoga.
- Representative Assessee me “No” select kare
- Ab Next kar de
Step4.-
Ab agli page me aapko Area code, AO type, Range code and AO No. fill karna hai.
- ye sabhi ko search kare “For help on AO code, select from the following” me “Indian Citizens” select kare.
- Ab apna State and city select kare aur Choose AO code list me se apna Area ko select kare, bus aapki sari details add ho jayegi automatic .
- ab Next kar de.
Step5.-
Next page me Proof of identity, Proof of address and proof of DOB me aapka Aadhar card already selected hoga. sabhi details fill honge.
Aapko Yaha Declaration fill kar submit karna hai.
Submit karne ke baad next page me aapko ek bar fir se sabhi details ko check kar confirm karna hai aur Proceed par click karna hai.
Step6.-
ab Payment mode ka page open hoga.
jisme aap online payment ko click kar ke payment kar de.
isme fee 112.75rs dikha raha hai ye time to time change ho skta hai .
Online payment successful pay karne ke baad Payment receipt aap page par dekh sakte hain, yaha aapko continue par click karna hai.
Ab agle page me aapko apna Aadhar Card Authenticate karna hai. Dhyaan rahe Aadhar card aapka tabhi Authenticate hoga jab sari details aapne same Aadhar card jaisi fill ki hogi, specially Name, address and mobile number.
Authenticate par click kare.
Successfully Aadhar card Authenticate hone ke baad aapki PAN CARD application successfully submit ho jati hai.
Aap next page me apna Acknowledgment slip dekh sakte hain. usse dwonload kr skte hai.
15-20 days ke undar aapke adress pe apka pan card post duara aa jayega.
pan card ki satuts jaane - Track pan status
Aadhar Card se Pan Card apply kare online video
yadi aapko kisi prakar ki problem ho rahi ho samjh nhi aa raha hai to is video ko dekh skte hai ye complete video hai payment ka bhi dikhaya gya hai. aur acche se batya gya hai ye video hindi me hai.
- Voter Card कैसे बनाए, online apply कैसे करे
- voter card घूम हो जाने पर क्या करें Duplicate voter id कैसे बनवाए
- voter card में सुधर कैसे करें correction कैसे करें
- pan card को Aadhar card से linked कैसे करे
Yadi aapko koi bhi problem ho rahi hai to aap hame comment ke jayire baat kar skte hai comment box niche diya gya hai waha aapka question daale. aur ummid hai ye post aapke liye helpful rahi. is post ko apne friends se share kare. .